Life in words

Pal pal

Ik pal aisa jo thama sa lage
Ik pal aisa jo thamey na thamey
Inn palon kee udhed bun mein
Na jane kitne pal ret se khisak gaye
Mein mutthi band kiye khush thi
Dekha to zindagi kahin duur nikal chuki thi
Ret ke tinkon se bani woh rah
Na jane kitni lambi ho chuki thi
Kab shuru hua tha yeh safar
Na jane kitna chalega
Thamey hue Palon mein
Waqt guzarta chale
Mein mutthi dabaye bethi rahi
Manzil jane hai bhi ya nahin


To Tumblr, Love PixelUnion